Shri Sai Chalisa Lyrics Bulale Sai Shirdi Dhaam by Desh Gaurav

Pahle Sai Ke Charan Me, Apna Shish Nawaun Mai
Kaise Shirdi Sai Aye, Sara Hal Sunaun Mai

Kaun Hai Mata, Pita Kaun Hai, Yeh Na Kisi Ne Bhi Jana
Kaha Janam Sai Ne Dhara, Prashan Paheli Raha Bana

Koi Kahe Ayodhya Ke, Yeh Ramchandra Bhagvan Hai
Koi Kahta Sai Baba, Pawan Putra Hanuman Hai

Koi Kahta Mangal Murti, Shri Gajanam Hai Sai
Koi Kahta Gokul Mohan Devki Nandan Hai Sai

Shankar Samaj Bhakta Koi To, Baba Ko Bhajhte Rahte
Koi Kahe Avatar Data Ka, Pooja Sai Ki Karte

Kuchha Bhi Mano Unko Tum, Par Sai Hain Sachche Bhagwan
Bade Dayalu Din Bandhu, Kitno Ko Diya Jiwan Dan

Kai Baras Pahle Ki Ghatna, Tumhe Sunaunga Mai Bat
Kise Bhagyashali Ki , Shirdi Mai Ayi Thi Barat

Aya Sath Usi Ke Tha, Balak Ek Bahut Sunder
Aya Aker Wahin Bus Gaya, Pawan Shirdi Kiya Nagar

Kai Dino Tak Raha Bhatakta, Bhiksha Mangi Usne Dar Dar
Aur Dikhai Aise Lila, Jag Me Jo Ho Gaye Amar

Jaise Jaise Umar Badi, Badti He Vaisy, Gaye Shan
Ghar Ghar Hone Laga Nagar Me Sai Baba Ka Gungan

Dig Digant Me Laga Goonjane, Phir To Sai Ji Ka Nam
Din Dhukhi Ki Raksha Karna, Yahi Raha Baba Ka Kam

Baba Ke Charno Me Ja Kar, Jo Kehta Mai Hoo Nirdhan
Daya Usi Par Hoti Unki, Khul Jate Dhukh Ke Bandhan

Kabhi Kisi Ne Mangi Bhiksha, Do Baba Mujhko Santan
Avum Astoo Tava Kaihkar Sai Dete The Usko Vardan

Swayam Dhukhi Baba Ho Jate, Din Dukhijan Ka Lakh Hal
Anteh Karan Shri Sai Ka, Sagar Jaisa Raha Vishal

Bhakta Ek Madrasi Aya, Ghar Ka Bahut Bada Dhanvan
Mal Khajana Bahadh Uska, Keval Nahi Rahi Suntan

Laga Manane Sai Nath Ko, Baba Mujhpar Daya Karo
Junjha Se Junkrit Naiya Ko, Tum Hi Maire Par Karo

Kuldipak Ke Bina Andhera, Chhaya Hua Ghar Me Mere
Isi Liye Aya Hoon Baba, Hokar Sharnagat Tere

Kuldipak Ke Re Abhav Me, Vyartha Hai Daulat Ki Maya
Aj Bhikhari Ban Kar Baba, Sharan Tumhari Me Aya

De Do Mujhko Putra Dan, Me Rini Rahoonga Jivan Bhar
Aur Kisi Ki As Na Mujko, Sirf Bharosa Hai Tum Par

Anunaye Vinaye Bahut Ki Usne, Charano Me Dhar Ke Shish
Tub Prasana Hokar Baba Ne, Diya Bhakta Ko Yeh Ashish

Allah Bhala Karega Tera, Putra Janam Ho Tere Ghar
Kripa Rahegi Tum Par Uski, Aur Tere Uss Balak Par

Ab Tak Nahi Kisi Ne Paya, Sai Ki Kripa Ka Par
Putra Ratna De Madrasi Ko, Dhanya Kiya Uska Sansar

Tan Man Se Jo Bhaje Usi Ka Jug Me Hota Hai Uddhar
Sanch Ko Anch Nahi Hai Koi, Sada Jhuth Ki Hoti Har

Mai Hoon Sada Sahare Uske, Sada Rahoonga Uska Das
Sai Jaisa Prabhu Mila Hai, Itni Ki Kam Hai Kya Ash

Mera Bhi Din Tha Ek Aisa, Milte Nahi Mujhe Thi Roti
Tan Par Kapda Dur Raha Tha, Shish Rahi Nanhi Si Langoti

Sarita Sammukh Hone Par Bhi Mai Pyasa Ka Pyasa Tha
Durdin Mera Mere Uper, Davagani Barsata Tha

Dharti Ke Atirikt Jagat Me, Mera Kuch Avalumbh Na Tha
Bana Bhikhari Mai Duniya Me, Dar Dar Thokar Khata Tha

Aise Me Ek Mitra Mila Jo, Param Bhakt Sai Ka Tha
Janjalon Se Mukta, Magar Iss, Jagti Me Veh Bhi Mujh Sa Tha

Baba Ke Darshan Ke Khatir, Mil Dono Ne Kiya Vichar
Sai Jaise Daya Murti Ke Darshan Ko Ho Gaiye Taiyar

Pavan Shirdi Nagari Me Ja Kar, Dhekhi Matvali Murti
Dhanya Janam Ho Gaya Ki Humne Jab Dhekhi Sai Ki Surti

Jabse Kiye Hai Darshan Humne, Dukh Sara Kaphur Ho Gaya
Sankat Sare Mite Aur Vipdaon Ka Ant Ho Gaya

Man Aur Samman Mila, Bhiksha Me Humko Baba Se
Prati Bambit Ho Uthe Jagat Me, Hum Sai Ki Abha Se

Baba Ne Samman Diya Hai, Man Diya Is Jivan Mai
Iska Hi Sambal Le Me, Hasta Jaunga Jivan Me

Sai Ki Lila Ka Mere, Man Par Aisa Assar Hua
Lagta, Jagti Ke Kan-Kan Me, Jaise Ho Veh Bhara Hua

‘Kashiram’ Baba Ka Bhakt, Iss Shirdi Me Rehta Tha
Maiy Sai Ka Sai Mera, Veh Duniya Se Kehta Tha

!!Shri Sai Chalisa Lyrics!!

Sikar Svayam Vastra Bechta, Gram Nagar Bazaro Me
Jhankrit Uski Hridh-Tantri Thi, Sai Ki Jhankaron Se

Stabdh Nisha Thi, Thay Soye, Rajni Anchal Me Chand Sitare
Nahi Soojhta Raha Hath Ka, Hath Timiri Ke Mare

Vastra Bech Kar Lote Raha Tha, Hai Hath Se ‘Kashi
Vichitra Bada Sanyoga Ki Uss Din Ata Tha Veh Akaki

Gher Rah Me Khade Ho Gaye, Usse Kutil, Anyayi
Maro Kato Looto Iski, Hi Dhvani Pari Sunayi

Loot Pit Kar Usse Vahan Se, Kutil Gaye Champat Ho
Aghaton Se Marmahat Ho, Usne Di Thi Sangya Kho

Bahut Der Tak Pada Raha Vaha, Vahin Usi Halat Me
Jane Kab Kuch Hosh Ho Utha, Usko Kisi Palak Me

Anjane Hi Uske Muh Se, Nikal Para Tha Sai
Jiski Prati Dhvani Shirdi Me, Baba Ko Padi Sunai

Shubdh Utha Ho Manas Unka, Baba Gaye Vikal Ho
Lagta Jaise Ghatna Sari, Ghati Unhi Ke Sanmukh Ho

Unmadi Se Idhar Udhar Tab, Baba Lage Bhatakne
Sanmukh Chizein Jo Bhi Aii, Unkoo Lage Patkne

Aur Dhadhakte Angaro Me, Baba Ne Kar Dala
Huye Sashankit Sabhi Vahan, Lakh Tandav Nritya Nirala

Samajh Gaye Sab Log Ki Koi, Bhakt Para Sankat Ain
Shubit Khade Thai Sabhi Vahan Par, Pade Huae Vismaiye Me

Usse Bachane Ke Hi Khatir, Baba Aj Vikal Hai
Uski Hi Pira Se Pirit, Unka Ant Sthal Hai

Itne Me Hi Vidhi Ne Apni, Vichitrata Dhikhlayi
Lakh Kar Jisko Janta Ki, Shradha Sarita Lehrayi

Lekar Sanghya Hin Bhakt Ko, Gadi Ek Vahan Ayi
Sanmukh Apne Dekh Bhakt Ko, Sai Ki Ankhe Bhar Ayi

Shant, Dhir, Gambhir Sindhu Sa, Baba Ka Anthsthal
Aj Na Jane Kyon Reh-Rehkar, Ho Jata Tha Chanchal

Aj Daya Ki Murti Svayum Tha Bana Hua Upchari
Aur Bhakt Ke Liye Aj Tha, Dev Bana Prati Hari

Aj Bhakti Ki Visham Pariksha Me, Safal Hua Tha Kashi
Uske Hi Darshan Ki Khatir, Thai Umre Nagar-Nivasi

Jab Bhi Aur Jahan Bhi Koi, Bhakta Pade Sankat Me
Uski Raksha Karne Baba Jate Hai Palbhar Me

Yuga Yuga Ka Hai Satya Yeh, Nahi Koi Nayi Kahani
Apat Grasta Bhakt Jab Hota, Jate Khudh Antar Yami

Bhedh Bhav Se Pare Pujari Manavta Ke The Sai
Jitne Pyare Hindu-Muslim Uutne Hi Sikh Isai

Bhed Bhav Mandir Masjid Ka Tod Phod Baba Ne Dala
Ram Rahim Sabhi Unke The, Krishan Karim Allah Tala

Ghante Ki Pratidhvani Se Gunja, Masjid Ka Kona Kona
Mile Paraspar Hindu Muslim, Pyar Bada Din Din Doona

Chamatkar Tha Kitna Sundar, Parichaye Iss Kaya Ne Di
Aur Nim Karvahat Me Bhi Mithas Baba Ne Bhar Di

Sabko Sneha Diya Sai Ne, Sabko Suntul Pyar Kiya
Jo Kuch Jisne Bhi Chaha, Baba Ne Usko Vahi Diya

Aise Sneha Shil Bhajan Ka, Nam Sada Jo Japa Kare
Parvat Jaisa Dhukh Na Kyoon Ho, Palbhar Me Veh Door Tare

Sai Jaisa Data Humne, Are Nahi Dekha Koi
Jiske Keval Darshan Se Hi, Sari Vipda Door Gayi

Tan Me Sai, Man Me Sai, Sai Sai Bhajha Karo
Apne Tan Ki Sudh Budh Khokur, Sudh Uski Tum Kiya Karo

Jab Tu Apni Sudh Tajkur, Baba Ki Sudh Kiya Karega
Aur Rat Din Baba, Baba, Hi Tu Rata Karega

To Baba Ko Are! Vivash Ho, Sudhi Teri Leni Hi Hogi
Teri Har Icha Baba Ko, Puri Hi Karni Hogi

Jungal Jungal Bhatak Na Pagal, Aur Dhundne Baba Ko
Ek Jagah Keval Shirdi Me, Tu Paiga Baba Ko

Dhanya Jagat Me Prani Hai Veh, Jisne Baba Ko Paya
Dukh Me Sukh Me Prahar Ath Ho, Sai Ka Hi Gune Gaya

Giren Sankat Ke Parvat, Chahe Bijli Hi Toot Pare
Sai Ka Le Nam Sada Tum, Sanmukh Sub Ke Raho Ade

Iss Budhe Ki Sunn Karamat, Tum Ho Javo Ge Hairan
Dung Raha Sunkar Jisko, Jane Kitne Chatur Sujan

Ek Bar Shirdi Me Sadhu Dhongi Tha Koi Aya
Bholi Bhali Nagar Nivasi Janta Ko Tha Bharmaya

Jari, Butiyan Unhe Dhikha Kar, Karne Laga Vaha Bhashan
Kehne Laga Sunno Shrotagan, Ghar Mera Hai Vrindavan

Aushadhi Mere Pas Ek Hai, Aur Ajab Iss Me Shakti
Iske Sevan Karne Se Hi, Ho Jati Dukh Se Mukti

Aggar Mukta Hona Chaho Tum, Sankat Se Bimari Se
To Hai Mera Numra Nivedan, Har Nar Se Har Nari Se

Lo Kharid Tum Isko, Sevan Vidhiyan Hai Nyari
Yadyapi Tuch Vastu Hai Yeh, Gun Uske Hai Atisheh Bhari

Jo Hai Suntan Hin Yahen Yadi, Meri Aushdhi Ko Khayen
Putra Ratan Ho Parapat, Are Aur Veh Mooh Manga Phal Paye

Aushadh Meri Jo Na Kharide, Jivan Bhar Pachtayega
Mujh Jaisa Prani Shayad Hi, Are Yaha A Payega

Duniya Do Din Ka Mela Hai, Mauj Shaunk Tum Bhi Kar Lo
Gar Is Se Milta Hai, Sub Kuch, Tum Bhi Isko Le Lo

Hairani Badti Janta Ki, Lakh Iski Karastani
Pramudit Veh Bhi Man Hi Man Tha, Lakh Logo Ki Nadani

Khabar Suna Ne Baba Ko Yeh, Gaya Daud Kar Sevak Ek
Sun Kar Bhukuti Tani Aur, Vismaran Ho Gaya Sabhi Vivek

Hukum Diya Sevak Ko, Satvar Pakad Dusht Ko Lavo
Ya Shirdi Ki Sima Se, Kapti Ko Duur Bhagavo

Mere Rehte Bholi Bhali, Shirdi Ki Janta Ko
Kaun Nich Aisa Jo, Sahas Karta Hai Chalne Ko

Palbhar Mai Hi Aise Dhongi, Kapti Nich Lootere Ko
Maha Nash Ke Maha Gart Me, Phahuncha Doon Jivan Bhar Ko

Tanik Mila Abhas Madari, Krur Kutil Anyayi Ko
Kal Nachta Hai Ab Sir Par, Gussa Aya Sai Ko

Pal Bhar Me Sab Khel Bandh Kar, Bhaga Sir Par Rakh Kar Pairr
Socha Tha Man Hi Man, Bhagvan Nahi Hai Ab Khair

Such Hai Sai Jaisa Dani, Mil Na Sakega Jag Me
Ansh Iish Ka Sai Baba, Unhe Na Kuch Bhi Mushkil Jag Me

Sneh, Shil, Sojanya, Adi Ka Abhushan Dharan Kar
Badta Iss Duniya Me Jo Bhi, Manav Sevaye Path Par

Vahi Jit Leta Hai Jagti, Ke Jan Jan Ka Anthsthal
Uski Ek Udasi Hi Jag, Jana Ko Kar Deti Hai Vivhal

Jab Jab Jag Me Bhar Pap Ka Bar Bar Ho Jata Hai
Usse Mita Ne Ke Hi Khatir, Avtari Ho Ata Hai

Pap Aur Anyaya Sabhi Kuch, Iss Jagti Ka Har Ke
Duur Bhaga Deta Duniya Ke Danav Ko Shan Bhar Me

Sneh Sudha Ki Dhar Barasne, Lagti Hai Duniya Me
Gale Paraspar Milne Lagte, Jan Jan Hai Apas Me

Aisse Hi Avtari Sai, Mrityulok Me Akar
Samta Ka Yeh Path Padhaya, Sabko Apna Ap Mitakar

Nam Dwarka Masjid Ka , Rakha Shirdi Me Sai Ne
Dap Tap, Suntap Mitaya, Jo Kuch Aya Sai Ne

Sada Yad Me Mast Ram Ki, Baithe Rehte The Sai
Peher Ath Hi Ram Nam Ka, Bhaite Rehte The Sai

Sookhi Rookhi Tazi Basi, Chahe Ya Hovai Pakvan
Sada Pyar Ke Bhooke Sai Ke, Khatir The Sabhi Saman

Sneh Aur Shradha Se Apni, Jan Jo Kuch De Jate The
Bade Chav Se Uss Bhojan Ko, Baba Pavan Karte The

Kabhi Kabhi Man Behlane Ko, Baba Bag Me Jate The
Pramudit Man Me Nirukh Prakrati, Chatta Ko Veh Hote The

Rang-Birange Pushpa Bag Ke Mand Mand Hil Dul Karke
Bihau Birane Mana Me Bhi Sneh Salil Bhar Jate The

Aise Su-Madhur Bela Me Bhi, Dukh Afat Vipada Kai Mare
Apne Man Ki Vyatha Sunane, Jan Rehte Baba Ko Ghere

Sunkar Jinki Karun Katha Ko, Nayan Kamal Bhar Ate The
De Vibhuti Har Vyatha, Shanti, Unke Uur Me Bhar Dete The

Jane Kya Adhbut, Shakti, Uss Vibhuti Me Hoti Thi
Jo Dharan Karke Mastak Par, Dukh Sara Har Leti Thi

Dhanya Manuja Veh Sakshat Darshan, Jo Baba Sai Ke Paye
Dhanya Kamal Kar Unke Jinse, Charan Kamal Veh Parsai

Kash Nirbhaiy Tumko Bhi, Sakshat Sai Mil Jata
Barshon Se Ujra Chaman Apna, Phir Se Aj Khil-Jata

Gar Pakar Me Charan Shri Ke, Nahi Chorta Umar Bhar
Mana Leta Me Jaroor Unko Gar Rooth Te Sai Mujh Par