Hum Katha Sunate Hindi Lyrics Song Sung’s by Kavita Krishanmurti, Ravindra Jain, Devki Pandit. This is very likely song from the millions of people. The Music of This Devotional Hindi Song by Ravindra Jain and Lyrics penned by Ravindra Jain. Here i have written “Hum Katha Sunate Hindi Full Lyrics” in Details with music video.
Maat Peeta Ki Vandana Karte Baaram Baar Gurujan Araja Prajaajan
Naman Karo Seekaar..
Ham Katha Sunaate Ram Sakal Gundham Ki Ham Katha Sunaate Ram Sakal Gundham Ki Yah Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Yah Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Jambu Dvipe, Bharat Khande, Aryawarte Bharat Varshe Ek Nagari Hai Vikhyat Ayodhya Naam Ki Yahi Janam Bhoomi Hai Param Pujya Shree Ram Ki.. Ham Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dham Ki Yah Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki..
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Raghukul Ke Raja Dharmatma Chakravarti Dashrath Punyatma Santati Hetu Yagya Karvaya
Dharm Yagya Ka Shubh Fal Paya
Nrip Ghar Janme Chaar Kumara.. Raghukul Dip Jagat Adhaara.. Charo Bhratu Ke Shubh Naama..
Bharat Shatrughna Lakshman Rama..
Guru Vashishtha Ke Gurukul Jaake Alpa Kaal Vidya Sab Paake Puran Hui Shiksha Raghuvar Puran Kaam Ki Ham Katha Sunaate Ram Sakal Gun Dham Ki Yah Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Yah Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
[Mridu Swar Komal Bhavana Rochak Prastuti Dhang Ek Ek Kar Varnan Kare
Lav-Kush Ram Prasang
Vishwamitar Mahamuni Raai
Enke Sang Chale Do Bhai
Kaise Ram Tadika
Kaise Naath Ahilya Taari
Munivar Vishwamitra Tab Sang Le Lakshman Ram Siya Swayamvar Dekhne
Pahunche Mithila Dhaam]
Janakpur Utsaav Hai Bhaari Janakpur Utsaav Hai Bhaari Apne Var Ka Chayan Karegi Sita Sukumari
Janakpur Utsaav Hai Bhaari
Janak Raaj Ka Kathin Pran Suno Suno Sab Koi Jo Tode Shiv Dhanush Ko
So Sita Pati Hoy
Jo Tode Shiv Dhanush Kathor Sab Ki Drishti Ram Ki Or Ram Vinaygun Ke Avtaar Guruvar Ki Aagya Sirddhar Sehej Bhaav Se Shiv Dhanu Toda
Janak Suta Sang Naata Joda
Raghuvar Jaisa Aur Na Koi.. Sita Ki Samata Nahi Hoi Jo Kare Parajit Kaanti Koti Rati Kaam Ki Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gundham Ki
Yah Ramayan Hai Punya Katha Siya Ram Ki
Sab Par Shabd Mohini Daali Mantramugdha Bhaye Sab Nar Naari Yu Din Rain Jaat Hai Beete
Lav Kush Ne Sab Ke Man Jite
[Van Gaman Sita Haran Hanumat Milan
Lanka Dahen, Ravan Maran, Ayodhya Punaraagaman]
Sab Vistar Katha Sunaai
Raja Ram Bhaye Raghuraai
Ram Raj Aayo Sukh Daai
Sukh Samriddhi Shree Gharghar Aai
Kaal Chakra Mein Ghatna Kram Mein Aisa Chakra Chalaya Ram Siya Ke Jeevan Me
Phir Ghor Andhera Chaaya
Avadh Me Aisa.. Aisa Ek Din Aaya Nishkalank Sita Pe Praja Ne Mithya Dosh Lagaya
Avadh Mein Aisa.. Aisa Ek Din Aaya
Chaldi Siya Jab Todke Sab Sneh Naate Moh Ke Pashan Hridayo Me Na Angaari Jaie Vidroh Ke Mamtamayi Maaon Ke Aanchal Bhi Simat Kar Rah Gaye Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Rehgaye..
Na Raghukul Na Raghukul Nayak Koi Na Hua Sia Ka Sahayak… Maanavta Ko Kho Baithe Jab Sabhya Nagar Ke Vaasi Tab Sita Ko Hua Sahayak
Van Ka Ek Sanyasi..
Un Rishi Param Udaar Ka Vaalmiki Shubh Naam Sita Ko Aashray Diya
Le Aaye Nij Dham..
Raghukul Mein Kuldeep Jalaye..
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye..
[Shrotagan Jo Ek Raja Ki Putri Hai Ek Raja Ki Putrvadhu Hai Aur Ek Chakravati Samrat Ki Patni Hai Vahi Maharani Sita Vanvaas Ke Dukho Me Apne Din Kaise Kaati Hai Apne Kul Ke Gaurav Aur Swabhimaan Ki Raksha Karte Huye Kisi Se Sahayta Maange Bina Kaise Apna Kaam O Swayam Karti Hai Swayam Van Se Lakdi Kaatati Hai Swayam Apna Dhaan Kutati Hai Swayam Apni Chakki Pisti Hai Aur Apni Santaano Ko Swavalambi Banane Ki Shiksha Kaise Deti Hai
Ab Uski Karun Jhaani Dekhiye]
Janak Dulari Kulavadhu Dasharath Ji Ki
Raj Rani Ho Ke Din Van Me Bitati Hai
Raheti Thi Gheri Jise Das Dasi Aatho Yam
Daasi Bani Apni Udaasi Ko Chupati Hai
Dharam Praveena Sati Param Kulina Sab Vidhi Dosh Heena Jeena Dukh Me Sikhati Hai Jagmata Hari Priya Lakshmi Swarupa Siya
Kutati Hai Dhaan Bhoj Swayam Banati Hai
Kathin Kulhadi Leke Lakdiya Kaatati Hai
Karam Likhe Ko Par Kaat Nahi Paati Hai
Phool Bhi Uthana Bhaari Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhari Jjivan Ka Bojh O Uthathi Hai
Ardhangi Raghuveer Ki O Dhare Dheer
Bharti Hai Neer Neer Jal Mein Nehlati Hain
Jiske Prajake Apvaadon Kuchakra Me
Peesti Hai Chaaki Swabhiman Ko Bachati Hai
Paalti Hai Bachcho Ko O Karmayogini Ke Bhaati Swabhimani Swavalambi Safal Banati Hai Aisi Sita Mata Ki Pariksha Lete
Nithur Niyati Ko Daya Bhi Nahi Aati Hai
Ho….. Us Dukhiya Ke Raj Dulaare..
Ham Hi Sut Shree Ram Tihaare..
Ho…. Sita Maa Ki Aankho Ki Taare.. Ae…
Lav Kush Hain Pitu Naam Hamare..
He Pitu Bhagya Hamare Jaage…
Ram Katha Kahe Ram Ke Aage…
“HAM KATHA SUNATE” Video Songs for Music
Dharti Gagan Mein Hoti Hai Lyrics-Sonu Nigam, Anuradha Paudwal, Suresh Wadkar |
Santoshi Mata Ki Aarti -सन्तोषी माता की आरती – Anuradha Paudwal
Shree Shiv Chalisa Lyrics – शिव चालीसा | Anuradha Paudwal
Shri Durga Chalisa Lyrics – दुर्गा चलीसा – Anuradha Paudwal
Hope you have liked this “Hum Katha Sunate Hindi Lyrics by Kavita, Ravindra & Devki” You can increase our morale by sharing this lyrics with your friends so that we can update even more new Songs Lyrics for you. If you have found any mistake in this lyrics then you can tell us via Contact Us Page.